Bakri ki upyogi naslein बकरी की उपयोगी नस्ले।
Bharat me palnewali bakri ki prajati. भारत में पलनेवाली बकरी की प्रजाति . Goat's Bread in India
India me 24 prakar ki nasle ragistered hain,
Bakri palan ek bahot he labhdayak Business hai isliye Bakri palan ke Vevsayiko ki sankhya badh rahi hai. Bahot saare nawjawan iss Business me aarahe hain
ek state se dusre state me lana lejaneka aur bechneka vevsay horha hai isliye shuddh aur mishra ( pure & cross bread) nasal ki paidaas badh rahi hai.
iss wajah se bakri ki shuddh nasal banaye rakhne ke liye Hariyana ke karnol gaanw me national stage pe research center kaam kar rahe hain.
Bharat me koun kounsi bakri ki prajati milti hai Aur unke goon kya hain aage dekhte hain...
Bakri ki Naslein aur unki visheshta
( Characteristics of Goats & Goats bread)
बकरी की प्रजाति और उनकी विशेषता
Doston aisi he acchi jankari apko humare youtube channel AgroTadka pe bhi milti rahegi .
Apke right side pe dikh rahe red button ko press kar ke humara YouTube channel bhi join karein
ya fir aage diye huye naam pe click kar ke humare channel me jake suscribe button pe click karein click here---> YouTube . or AgroTadka

- iss nasal ki bakri uttar pradesh me Ganga-Jamuna aur Chambal nadiyon ki ghati aur vaadiyon me payi jaati hai.
- parwatiy pradesh, Itah, Mathura, Aagra iss vibhag me jamnapari bahot paayi jaati hain.
- Dikne me ye Bakri bahot he khubsurat hoti hai
- inki naak kaafi ubhari huyi raheti hai,jisse roman nose bhi kahete hain, singh chote choudhe hote hain., iske kaan 10-12 inch lamba choudha muda hua tatha latkta raheta hai.
- Jamnapari bakri me dudh utpadan karneka gun kaafi accha hota hai. issi ke sath maans ka utpadan jamnapari accha karti hai. iss bakri ke jaangh par lambe tatha safed laal baal paaye jaate hain.
- iss bakri ka aakaar jyada badha hota hai. aur shareer pr chamkdar baal hote hain.
- vayaska nar (Male) ka wajan(Weight) 70-90 Kilo gram
- maada (Female) ka wajan ( Weight ) 50-60 kilo gram hota hai
- iska Gabhan kaal ( Pregnancy) 150 Din ka hota hai
- iske baccho (kids) ka janm ke waqt ka wajan ( Weight ) kareeb 2.5 - 3.0 kg tak raheta hai.
- kaha jaata hai ke jamnapari bakriyan saal me ek baar he baccha deti hain.aur jyadatar bakriyan 1 he baccha deti hain.lekin humare farming ke anubhaw me jamnapari bakri 15 mahine me 2 baar baccha diye hain aur ek waqr me 2 se jyada bacche diye hain...
- jamnapari bakriya apne shetra me 1.5 se 2 litter tak dudh( Milk) prathi din deti hain.
- Jamnapari nar aakar me jyada bade hote hain isliye Eid ke waqt kurbani ke liye inki bahot maang hoti hi.
- Sthanik jaati ke sath sankarith karne ke liye matlab cross breadig ke liye jamnapari ka upyog kiya jaata hai..
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breed
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Beetal बीटल :-
- panjab ke sabhi zillo me iss prakar ki bakri paayi jaati hai.iski shuddh nasal matlab pure bread panjab ke Ludhiyana, Karnaal, Gurdaaspur me milti hain . Panjab se lage pakistan ke shetra me bhi iss nasal ke bakriyan uplapdh hain
jamnapari nasal se iss bakri ki uthptti matlab paidaas huyi hai aisa maana jaata hai. inn dono ke roop aur aakaar me samanta hai.
- beetal bakri ke kaan lambe hote hain, Naagbel jaise kaano ka aakaar hota hai, aur inke kaano ka aakaar patto jaisa hota hai isliye iska naam angreji me beetal rakha gaya hai.
- vayaska nar (Male) ka wajan(Weight) 65-85 Kilo gram
- maada (Female) ka wajan ( Weight ) 50-60 kilo gram hota hai
- iska Gabhan kaal ( Pregnancy days) 150 Din ka hota hai
- iske baccho (kids) ka janm ke waqt ka wajan(Weight) kareeb 2.5 - 3.0 kg tak raheta hai
- ye bakriya apne shetra me 1.5 se 2 litter tak dudh ( Milk) prathi din deti hain.
- Ye bakri ek saal me ek he baccha deti hai. jyada tar ye bakri judwa ya usse jyada bacche deti hain
- beetal nasal ke bakri ko bhi indian goat farming me bahot demand hai. aur iss bakri ko Eid ke kurbani ke waqt bhi bahot maanga jata hai..
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Barbari बारबेरी :-
- iss bakri ki upasthiti madhya aur paschim afrika me huyi hai aisa mana jata hai, iss nasal ko british kaal me padhariyon ke dwara bharat me laya gaya tha.. ab ye uttar pradesh ke aligadh, Aagra, Mathura Itaaha me jyadatar payi jaati hain.. aur Hariyana me karnal,Gudgao,Delhi ke aaspaas barbari bakri ka palan kiya jaata hai.
- Barbari bakri chote kadh ki hoti hai. aur iske pair naate hote hain.
- barbari bakri ka mukh sidha resha me hota hai..
- barbari bakri ke badan pe ekdum chote chote chamkhdar baal hote hain,jyadatar bakriyon pe safed baal aur uspe bhure ya pile rang ke dhabbe hote hain.
- ye bakri accha dudh deti hai,
- vayaska nar (Male) ka wajan(Weight) 35-40 Kilo gram
- maada (Female) ka wajan ( Weight ) 25-30 kilo gram hota hai
- iss bakri ki prajanan shamta kaafi viksith hai, ye 2 saal me 3 baar baccho ko janm deti hai. iska baccha 8-10 mahine ke umr me vayaskh hota hai
- ye bakriya dikhne me hiran ke jaise lagti hain, Jyadatar grahakh iske rang roop se iske taraf aakarshith hote hain,
- iske chote aakar ke karan isse chara kam lagta hai.aur bahot kam jagh me ye rahe sakhti hai. isliye farming me iski bahot demand chal rahi hai.
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Tellichery तेलीचेरी (Malbari):-
- Ye bakri Uttar malbar, teli cheri, Mangalore,kottayam, Chitkal, Kaalikath,Ponano .in shahero ke aaspaas paayi jaati hai
- inke badan pe chote chote baal hote hain,
- Tellichery bakri ka kadh barbari jaise hota hota hai,
- iski prajanan shamta bhi bahot jyada hoti hai.
- 6 se 8 mahine me madha vayaskh hojati hai. aur uski umar ke 12 mahine me he bacche dena shuru karti hai. ye bakri 2 saal me 4 baar bache deti hai, ek baar baccha dene ke baad 21 din baad fir se heat pe aajati hai.
- iski immunity system bahot strong hoti hai matlab rog pratikatmak shakti acchi hoti hai isliye ye har watawaran me rahe sahti hai. aur bahot kam bemar padhti hai.
- naye farmers ke liye Tellichery bakri ek wardhaan he hai.
- bahot kam time me isse jyada se jyada profit le sakhte hain.
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Usmanabadi उस्मनाबादी:-
- Iss jaati ki bakriyan aam tour pe Marathwada me Usmabad,Latur, Beedh, Parbhani, Pachim Maharashtra, Solapur, Uttar karnataka in pradesho me paayi jati hai,
- Isme kuch Bakriyon ka rang pura kala hota hai. kuch bakri safed,bhure laal aise mishra rang ki hoti hai,
- inme singhwali aur bina singhwali bhi hoti hain.inka aakaar bada hota hai
- Bade bakre nar ka wajan 50 se 60 kg hota hai.aur mada ka wajan 35-45 kg hota hai.
- iss nasal ke bacche ka wajan janm se he 2.5 se3 kilo ka hota hai.
- ye bakri 14 mahine me 2 baar baccho ko janm deti hai,
- jyadatar bakri judwa bacche deti hi.usmanabadi bakri ko dudh aur maans dono karno se paala jata hai.
- ye bakri har roz 1.5 se 2 litter dudh deti hai.
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Shirohi सिरोही :-
- Iss nasal ki bakri Gujarath aur Rajasthan me paayi jaati hai.
- Bakri ka rang safed,Bhura aur laal-Safed ka mishran hota hai,
- inke badan pe mote aur chote chote baal hote hain, Bakri madhyam aakar ki aur ghatdar hoti hai.
- Nar bakre ka wajan 50 se 60 kilo hota hai, aur janme huye bacche ka wajan 2 kilo tak ka hota hai.
- ye bakri saal me ek baar he baccha deti hai. 70 pratishat bakriyan 1 he baccha deti haim.. judwa baccha deneka praman shirohi bakri me kam hai.
- inka upyog dudh aur maans dono ke liye kiya jaata hai.
Surathi सुरती ( Khandeshi ):-
iss Nasal ki bakri surat , Ahemadabad,Khandesh,Nashik, Mumbai iss pradesh me paayi jaati hai.
iska rang safed hota hai,
iska maans uccha shreni ka mana jata hai,
Surathi bakri saal me ekbar baccha deti hai.
Iss bakri ka akaar chota hota hai,
inhe bahot kam chara lagta hai..
uccha shreni ke maans ke wajah se iss bakri ko pala jaata hai..
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Kaali Bangaki काली बंगाली (Black Bangol):-
Iss prakar ki bakri odisa rajya ke uttar bhag, Bihar ke purv bhag, Aasam aur aaspaas ke pradesh me payi jaati hai.
Iska rang kala taambe jaisa ya safed hota hai,
ye bakriyan naati aur aakaar me choti hoti hai.
Bade nar bakre ka wajan 14 se 16 kilo hota hai.
inke maans ka darja uccha hota hai,
iske chamde se juton ka nirman kiya jata hai,
iss nasal ke bakri ke chamde ko videsh me bhi bahot maang hai.
ye bakri jyada dudh nahi deti.
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Marwadi मारवाडी (मारवारी ):-
Iss nasal ki bakri mahesana zhille ke uttar bhag ke waan devdar iss pradesh me paayi jaati hai,
Inke baal kaale hote hain,
Chamde ka rang kaala aur taambe jaisa hota hai,
aakaar madhyam hota hai.
nar bakre ka wajan 35-40 kg hota hai.
ye bakri saal me ek baar he baccha deti hai. aur ek he baccha deti hai.
Iska maans swadishth hot hai.
Marwadi bakri se Maans,Lambe baal aur dudh aise teen prakar se aamdani hoti hai.
iss bakri ki immunity acchi hoti hai. matlab rog pratikatmak shakti acchi hoti hai isliye ye bakri bemar nahi padhti..
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Jhalwadi झालवाड़ी:- iss nasal ki bakri kathiyawadi panth me jhalwad zhille me aur Gujrath me pachim, Mahesana, Radhapur iss pradesh me payi jaati hai,
Aakaar me badi hoti hai.
inki gardan lambi hoti hai,
Inki punch choti aur upar ki taraf mudi huyi hoti hai.
Singh sidhe aur ghumawdar hote hain,
Iska chamda neela, aur gulabi hota hai.
unpar chamkdar kaale baal hote hain, baalon ki lambayi kareeb 15 cm hoti hai.
jhalwadi nar bakre ka wajan 50-60 kg hota hai.
ye saal me ekbar he baccha deti hai, ek ya 2 baccho ko janm deti hai.
ye bakri din me 1 se 2 litter dudh deti hai.
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Gaddi ( chamba ) चम्बा:-
Himalay ke parwatiya shetra ke nichle hisso me kaangda ghati, Chamba, Sirpor aur simla ilakhe me gaddi jamati ke ghumantu log iss nasal ke bakri ka palan karte hain,
iss bakri ka rang safed, Bhura aur taambe jaisa hota hai.
iske badan pe lambe lambe baal hote hain.
aam tour par 25cm lambe baal iske shareer pe hote hain.
ekbar katne pe kareeb 1kg baal niklte hain,
Iss bakri ke singh lambe aur ghumawdar hote hain.
inki chamdi bahot he moti hoti hai.. badlte mausam ka koi bhi parinam iss moti chamdi ke karan inpe hota nahi.
iss nasal ki bakri charte huye bahot doori pe ja sakhti hai.
nar bakre ka wajan aam tour pe 40 kg tak ka hota hai.
iss bakri ka upyog maans ke sath sath chamde ke liye bhi kiya jaata hai.
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Kashmiri ( कश्मिरी ):-
Iss nasal ki bakri Jammu-Kashmir , Himachal aur Uttar pradesh ke parwatiya ilako me paayi jaati hai.
thande mausam me ye bakri rahe sakhti hai.garam ilako me inka palan karna thoda mushkil hai.
inke badan pe safed aur kale patte hote hain
inke badan pe 10 se 12 cm lambe bahot he mulayam resham jaise baal hote hain.
ek bakri se kareeb 150 se 200gm unn ka utpadan hota hai.
iss nasal ka nar bakra akaar me bada hota hai. uska wajan 60 se 7. kg tak hota hai,
Bakri saal me ek baar he baccha deti hai, aur judwe baccho ko janm deti hai,
iss bakri ka upyog jyadatar unn ke liye kiya jaata hai, inke unn se shall muflar jaise cheezein banti hain..
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
sangamneri ye nasal Maharashtra ke Pune Ahemand nagar district me jyada paayi jaati hai
Ye bakri alag alag rang me jaise kaali, tapkiri , safed ya ye sab Rango ke mishirith rango se saji huyi hoti hai,
ye bakri madhyam aakaar ki hoti hai
Nar bakre ki kandhe tak ki unchayi 77cm hoti hai
aur maada ki unchayi 70cm tak hoti hai
ye bakri 14 mahine me 2 baar bacche deti hai
ye bakri jyadatar 1 he baccha deti hai. 2 bacche deneka praman iss bakri me kam hai.
ye bakri rozana aadha se ek litter tak dudh deti hai.
Ye 2 post bhi zarur padhein
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Ye 2 post bhi zarur padhein
post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breedAfrican Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Corona Virus Covid-19 se apne pashu ko bachaneka desi ilaj ye post padhne ke liye niche diye gaye link pe click karein.
https://desi-ilaj-withmnm.blogspot.com/2020/04/covid-19-corona-virus-kya-hai-corona.html
Doston aisi he acchi jankari apko humare youtube channel AgroTadka pe bhi milti rahegi .
Apke right side pe dikh rahe red button ko press kar ke humara YouTube channel bhi join karein
Ya fir aage diye huye naam pe click kar ke humare channel me jake suscribe button pe click karein click here---> YouTube . or AgroTadka

No comments:
Post a Comment
Please do not enter any spam link in the Comment box.