Friday, 24 April 2020

African Boer, Damascus, Saanen. India me palnewali vidheshi bakri. इंडिया में पलनेवाली विदेशी बकरी

African Boer, Damascus, Saanen. 

 India me palnewali vidheshi bakri

इंडिया में पलनेवाली विदेशी बकरी 

 

Hello doston 
                    pichle post me aapne india ke Registered aur Non-Registered breeds dono ke bareme padha hoga, iss post me hum dekhenge Bharat me palnewali kuch vidheshi bakriya.

Doston aisi he acchi jankari apko humare youtube channel  AgroTadka pe bhi milti rahegi . 
Apke right side pe dikh rahe red button ko press kar ke humara YouTube channel bhi join karein

ya fir aage diye huye naam pe click kar ke humare channel me jake suscribe button pe click karein   click here--->  YouTube . or  AgroTadka

  Boer बोअर  :-


  


  •   shayad ye duniya ke sab se badi nasal mese ek hogi. 
  • ye nasal south Africa se hai. Isse india me African boer ke naam se jana jata hai.
  • ye nasal bahot he tezi se badhti hai.
  • Iske Nar aur Maada dono jald he prajanan saksham bante hain.
  • Boer nasal ki maada 6 se 7 mahine me aur Nar 7 se 8 mahine me paidas saksham bante hain, Matlab Female ki Maturity age 6 to 7 month hai.
  • Aur Male ki Maturity Age 8 to 9 month hai
  • Iske maadi ki prajanan shamta matlab bacche deni ki shamta acchi hoti hai, aam tour pe bakri judwa bacche deti hai ya usse jyada bacche bhi deti hai.
  • Inki haddiyan Majbuth hoti hain aur badan pe bahot jyada maans hota hai.
  • wayaskh bakri ka wajan matlab Femal weight 60 to 70 kg hota hai, aur nar ka wajan matlab Male weight 80 to 90 kg tak ka hota hai
  • nar bakre ke sth bakri ka maans bhi bahot swadishth hota hai
  • inn bakriyon me sab prakar ke tapmaan se samtol rakhne ki shamta hoti hai, 
  • Bakri dikhne me acchi hoti hai, uske singh ka aakar bhi madhyam hota hai aur singh piche ki taraf jhuki huyi hota hai.
  • Iss bakri ka chahera inth jaise rang ka hota hai aur gardan se pichla hissa safed hota hai.
  • ye bakriyan palne me jyada taklif nahi hoti.
  • isse bandisth tarike se palne par aur roz acchi khurak diya jaye to ye har roz 200 se 300 gm har din badhte hain.
  • Iss nasal ke bakri ko dudh bhi accha hota hai. 1.5 se2.5 litter milk (dudh) prathi din de sakhti hai.
  • Farming ke liye sab se acchi nasal hai isliye iski pure (Shuddha) nasal bahot mahengi hai.
  • iski pure nasal ke  nar ki kimat 1700Rs /kg hai Aur iske pure Maada ki kimat 3000 Rs / Kg hai aaj ka rate chal raha hai, 
  • Lekin kuch goat farmer isse kam daam me bhi dete hain.
  • Iska upyog Goat farming me Production lene ke liye hota hai. 
  • Aur Iska Wajan jyada hone ke karan bakri eid me ye nasal ke bakre 1 lakh tak ke rate me bhi bikh jaate hai.
  • African boer Maharashtra ke satara zilla. pune aur sangli me bhi jyadatar farm me paayi jaati hain.

YE 2 POST BHI ZARUR PADHEIN,
POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN.. 

BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED

  Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breed

Damascus दमश्कस :- 





  •  Damascus goat Middel East countries ke Syria ki ek nasal hai. 
  • Damascus goat ko Shami ke naam se bhi jana jata hai.
  • Iss bakri ko Aleppo, Halep,Baladi, Damascene, Chami in naamo se bhi jana jata hai. 
  • African Boer ki tarha iski prajanan shamta bhi bahot acchi hoti hai.
  • Damascus bakri ka shareer aakaar me bada hota hai
  • Jamunapari ke tarha iske kaan lambe hote hain
  • iske shareer pe jaade tatha lambe baal hote hain
  • iska muh thodasa lamba aur darawna hota hai.isliye isse shaitani bakri bhi kaha jata hai
  • ye bakri ki dudh dene ki shamta bhi  bahot hoti hai. prati din 1.5 se 2 litter dudh de sakhti hai
  • India me Maharashtra ke satara District ke andar phalton ke Nimbkar goat farm me iski nasal bechi jaati hai.
  • African boer ki tarha iski kimat bhi bahot mahengi hai.
  •  
     
YE 2 POST BHI ZARUR PADHEIN,
POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN.. 

BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED

  Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breed

Saanen सानेन :- 


 




  •  Saanen nasal Switzerland ke saanenland aur Obersment ke shahero ki hai.
  • Saanen bakri safed ya lalsar safed rang ki hoti hain
  • Iss bakri ke kaan chote hote hain aur bahar ke bazu me khade huye hote hain.
  • ye dikhne me kaafi sundar aur chanchal hoti hain
  • iske nar ki unchi 90 cm tak hoti hai.
  • iske maada ki unchi 75 cm tak hoti hai
  • Nar bakre ka kam se kam wajan 70kg hota hai aur maada ka wajan 55 kg tak ka hota hai
  • 2 saal ke mada ka dudh 2 se 4 litter tak hota hai
  • aur iske dudh ka kaal 269 din tak raheta hai. matlab ye 279 din tak dudh deti hai
  • Ye nasal jyadatar dudh ke liye he paali jaati hai.
YE 2 POST BHI ZARUR PADHEIN,
POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN.. 

BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED

  Hyderabadi, Patira, Sojat , Totapari, Kota ,Gujri. India ki non Registered Goat breed 


Doston aisi he acchi jankari apko humare youtube channel  AgroTadka pe bhi milti rahegi . 
Apke right side pe dikh rahe red button ko press kar ke humara YouTube channel bhi join karein

ya fir aage diye huye naam pe click kar ke humare channel me jake suscribe button pe click karein   click here--->  YouTube . or  AgroTadka

No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the Comment box.

शेळ्यांतील माजाची लक्षणे     माजावर आलेली शेळी बेचैन असते.     भूक मंदावते.     शेपूट सारखे हलविते.     वारंवार लघवी करते.     इतर शेळ्यांव...