Tuesday, 7 April 2020

Covid-19 Corona Virus kya hai? Corona Virus se kaise bacchein? कोरोना वायरस से बचने का देसी इलाज. India .

Covid-19 Corona Virus kya hai? Corona Virus se kaise bacchein?  कोरोना वायरस से बचने का देसी इलाज


 

 

Covid-19 Corona Virus kya hai? Corona Virus se kaise bacchein?  कोरोना वायरस से बचने का देसी इलाज

Haan doston Apne sahi padha kuch aasaan tarike istemal kar ke hum Corona Virus ke sankraman se bach sakhte hain. 

Aaj Corona Virus 200 se jyada desho me fahela hua hai...

aur India me 7000 se jyada Corona se jude cases samne aaye hain.

Covid-19 se bachne ke liye indian Goverment Lockdown jaise sahi kadam utha rahi hai..

India me Corona Virus ka prabhaw second stage pe chal raha hai..

Agar hum issi yahi pe rokhne me kamyab na rahe to ye 3rd stage me chala jayega.. fir iss rokhna namumkin hai.. kyu ki india ki lokh sankhya population dusre desho ke mukable bahot jyada hai. aur humare paas itni medical facilities nai hai jisse hum corona virus covid-19 ka samna kar sakhe. Italy jaisa desh jo medical facilities me top pe tha aaj uss desh ne iss bemari ke samne apne ghutne teke huye hain.. aaj tak aisa koi anti dose ya vaccine nai bana jo iss bemari se bacha sakhe..

lekin Hum kuch sathrkta leke sawdhan hoke iss bemari ko fahelne se rokh sakhte hain.

lekin aage badhne se pahele ye dekhte hain ke Corona Virus kya hai aur iske symptoms kya hain.....


Corona Virus kya hai?


                   Corona Virus sab se pahele china ke Huang city me paya gaya. ye saanp aur chamdagad se aaya hua virus se.
 Corona Virus me flue cold jaise he lakshan dikhte hain. lekin iske bachao me ab tak koi bhi vaccine nahi banaya gaya hai.  
Corona virus ka sabse jyada asar unpe horaha hai jinki immunity kam ho.. aur bacchon me aur buzurgo me immunity kam hiti isliye corona ka sab se jyada shikar bacche aur buzurg horahe hain.


 Corona Virus Bahot sukshma virus hai. lekin iska prabhaw bahot bada hai.
corona ke khatre ko dekhte huye log bahot satarkta le rahe hain.

1. corona virus se sankramith weqti ke paas jane se ye bemari lagti hai?

 

  Ji haan agar kisi weqti ko corona virus ka sankraman hua hai. agar aap uske kareeb jate hain aur wo khansta ya chinkta hai.. uske muh se nikle huye chinte ya bund apke kapdo pe ya shareer pe padh jate hain.. aur issi halat me apke hath apne chahere pe laga dete hain to corona virus apke  naak ,Muh ,Aankh ke zariye apke shareer me ja sakhta hai.

2. khasne ya chinkne se kya hota hai?

Corona virus ka sankraman jiss weqti ko hua hai usse khansi jukham jaise lakshan dikhayi dete hain.  Agar aap uss weqti ke itne kareeb hain ke agar wo khans raha hai ya chinkh raha hai hai.. uske chinkte aur khanste waqt kuch chinte ya bunde apne shareer pe padh jate hain to inse apne shareer me bhi corona ka sankraman hojata hai.

3. kya Corona se prabhavit weqti ki pahechan ho sakhti hai?

Shurwati dour me corona ke symptoms normal jukham khansi bukhar jaise hote hain. isliye bina laboratory test ke corona ka sankraman hua hai ya nahi ye batana bahot mushkil hai

4. Kya Corona Virus ka sankraman kisi Dhatu ke wastu se ho sakhta hai?

 Ji haan.  Agar Corona Virus se sankramith hua weqthi kisi bus se safar karta hai. ya kisi bhi wasthu ya cheez ko chuta hai.. ya uss wastu ya dhatu pe uske chinkh ya khansi ke bundh padhte hain to wah virus us dhatu par ya kisi cheez pe 14 ghante tak jeevith rahe sakhta hai. is 14 ghanto me jitne bhi log iske samparkh me aajate hain unpar bhi ye virus sankraman kar jata hai.

  

Symptoms of Corona Virus

(Corona Virus ke lakshan kya hain) 

Corona Virus ka sab se jyada prabhaw insan ke Respiratory track pe matlab apne swashan yantra pe hota hai.. jaise lungs bronchitis pe hota hai.
  Corona virus se prabhavit ya sankraman hone ke baad 5 se 14 dino tak normal jukham ya khansi jaise lakhshan dikhayi dete hain.  isliye bina laboratory ki jaanch karaye ye batana mushkil hota hai ke corona sankramith hai ya nahi.
 Lekin thode dino ke baad iska asar itna badh jata hai ke insan ko saans lene me taklif hoti hai.lungs kaam karna band kar dete hain.. aur issi me weqti ki death hp sakhti hai.

Aage dekhte hain corona ke shurwati dour ke symtoms kya hain

1. Gale me dard hona ( gale ka infection) :- 


 Carona se sankramith huye weqti ko shurwati dour me gale ka dard hota hai.
kuch scientist ka ye kahena hai ke Corona Virus ka sankraman hone ke baad ye virus kuch dino tak humare gale me rahe jata hai.. isse gale me dard hone jaise lakshan dikhayi dete hain.

2. Sukhi Khansi Aur Jukham ( Dry Cough & Cold ) :-

 


Corona Virus ka shikar huye weqti ko sukhi khansi matlab (dry cough) aur jukham (cold) jaise lakshan dikhayi dete hain..
Shurwati dino me ye normal khansi aur jukham jaise he lagte hain. lekin aage chal ke inka prabhaw itna padhta hai ke weqti thik se baat tak nahi kar pata,  jyada khansi se lungs kaam karna band kar dete hain 


3. Bahot tez Bukhar aur sarr dard :-
 ( High Temperature ) 


 Corona Virus ka sankraman huye weqti ko bahot tez bukhar raheta hai Aur sarr ka dard bhi raheta hai.




Corona Virus (Covid-19) ke sankraman hone se kaise bachein?  

 

Apni sawdhani se, apni satharkta se hum corona virus ke sankraman hone se bach sakhte hain.
sankraman na badhe isliye indian Goverment Lockdown jaise kade faisle le rahi hai jo bahot zaruri bhi hai. isse sankramith hua weqti aur aam janta ke bich ek diwar ban rahi hai jisse Corona ke sankraman pe rokh lag rahi hai.
isme Police prashasan, Doctors aur nurse ki team ka bhi bahot badha saheyog hai... Inka kaam waqiye me kabeel e tareef hai.  

Humara bhi farz banta hai ke hum apni sahayta khud kar ke, Apna precuations khud kar ke Corona virus ke sankraman ko khud ko bacha sakhte hain..

isse bachne ke liye khud ka khayal kaise rakhna hai.. kya kya precuations lene hain ye step by step dekhenge..

Precuations ke 2 tarike hain

1. External precuation.
2. Internal precuation.

 
1. External Precuations :-
                                 External precuations matlab apne shareer ke bahri hisso ko safe rakh ke apne shareer pe corona virus ka sankraman hone se rokhna.
A.sanitizer ka istemal karna:-

                       Corona Virus kisi bhi wastu ya kapde pe 14 ghanto tak jeevit rahe sakhta hai.. 
agar corona sankramith weqti kisi cheez ko chuwah hua hai ya uske khansi ke ya chinkh ke chinte ya bund agar kisi samanya cheez pe padhe huye hain, jaise bus ka darwaza, handel, lift ke button,  kisi mall ke koi wastu. ye kahin bhi ho sakhta hai..       
   Agar hum kisi kaam se bahar jate hain aur aise kisi cheez ko chuhte hain ya touch karte hain to hume bhi Corona Virus ka sankraman ho sakhta hai.  lekin sanitizer ka istemal kar ke hum sankramith hone se bach sakhte hain.
 sanitizer humare hath pe lage koi bhi jantu ya bacteria ko marne me humari help karta hai .  Isliye sanitizer ka use karna humare liye bahot he labh dayak hai.

B. Mask ka istemal karna :- 
          


            Apne chahere pe matlab naak aur muh ko mask se ya kisi kapde se dhak ke bhi hum corona virus ke sankraman hone se rokh sakhte hain.
kuch scientist ka kahena hai ke corona virus muh, naak, aur aankh ke zariye he humare shareer me pravesh karta hai.... agar hum mask ka istemal karte hain to ye virus humare aur naak ke zariye humare shareer me pravesh nahi karega.

 C. Lockdown ko samarthan:-


                                Lockdown matlab khud ko ghar se bahar nahi nikalna. be matlab ke ghar se bahar nahi niklna. bade market, bheed wali jagah puri tarha band karna.
China me aaj Corona virus se hua marne ka dar 0 hai. iska bada karan hai lockdown. unke desh me 3 mahine tak kadha lockdown chala. iss wajah se china me sankraman ko rokh huyi..
India me bhi Lockdown chal raha hai. iska samarthan karna humare liye bahot zaruri hai...
Italy jaisa desh jo medical facilities me sab se aage tha.. wo corona ke prabhaw ko dakhal andaz kiye.. iska natiza ye hua ke har 24 ghante me 800 se 1000 log marr rahe hain... itna bada desh jo medical facilities me sab se aage tha . wo desh aaj Corona Virus ke samne apne ghutne tek chuka hai, khud ko surrender kar chuka hai.
agar hum humare desh me lockdown ko follow nahi kareng to humara haal bhi ye ho sakhta hai.isliye Lockdown ka kadha palan karein. bina wajah bahar na nikle..


Internal precuations:-
Internal precuations matlab humare shareer ko he aisa banana jisse wo corona virus se ladh sakhe.
Corona Virus jiski immunity matlab Rog pratikatmak shakti kam ho unpe he sab se jyada asar karta hai..
Corona Virus ka effect humare Respiratoryn track matlab humare swashan yantra pe sab se jyada prabhaw dalte hain.
Respiratory Track
Agar hum apne Respiratory track matlab apne swashan yantra ki sahi dekhbhal kare to hum Corona Virus ke sankraman ko rokh sakhte hain..

A.Garam pani, chai-coffee jaise garam cheezon ka sewan karen:-
                                       Bahot saare scientists ka ye kahena hai ke Corona Virus ka sankraman hone ke baad wo kuch waqt ke liye apne gale me raheta hai. Agar hum jyada se jyada Garam pani, chai ya coffee ya veg soup, jaisi garam cheezo ka sewan karne se Corona Virus agar humare gale me sankraman kiya hua hai.. wo aage respiratory track me na badhte huye gale mehe khatm ho jata hai ya respiratory track me na jate huye sidhe digestive tack me digestic acids usse khatm kar dete hain.

B. Khane ko acchi tarha pakayein:-
                                               Kahi logo ki soch hai ke khane ko jyada pakane pe usme se poshtik tatwa nikal jate hain.   lekin aisa bilkul bhi nahi hai. agar khane ko ya kisi sabzi ko thik se nahi pakaya jaye to usme chipe kahi tarha ke bacteria puri taraha nirjantuk nahi hote.. iske karan se hume gambhir traha ke bemariyon ka samna karna padh sakhta hai.

C. Lahesun,Adrak, nariyal ke tel ka istemal karen:-
            
 .Lahesun :-
                                                Lahesun sab se jyada shaktishali anti viral food hai,  lahesun ke sewan se rog prathi-rodhak shamta badhti hai.

 . Adrak:-
                Lahesun ki traha Adrak me bhi rog pratikatmak shamta badhti hai. iska sewan hum shahed ke sath kar sakhte hain.
  
. Nariyal ka tel :-
                      lahesun aur Adrak ki traha nariyal tel bhi Rog-prathirodhak hai. Nariyal tel me Lauric Acid Caprylic Acid hota hai jo anti viral hota hai aur humari immunity bhi badhata hai.

 


Corona Virus Covid-19 ke sankraman se bachne ke liye sab se aasan aur sasta Desi Ilaj.


Corona Virus ke sankraman se bachne ke liye hum jo ilaj bata rahe hain.. woh sab se sasta aur aasaan hai. aur ghar baite he isse aap bana sakhte hain..
Isse Immunity Increase badhti hai. matlab Rogh prathirodhak kshamta badhti hai.
Respiratory track me kisi bhi bemari ya rog ke sankraman se nizat milti hai.
Agar kisiko Bahot jyada Tez Bukhar ho ya Viral Fever ho usse nizat pane ke liye ye dawayi kaam aati hai.
Allergic cough . Matlab Allergi wali khansi me bhi ye dawayi bahot kargar hai.. 

 Aage dekhte hain iss dawayi ko banane ke liye kya kya samagri lagti hai.


1. Jeshtmadh जेस्टमध  ( Mulethi ) Liquorice 10gm

2. Ashwagandha अश्वगंधा ( Withania Somnifera )  10gm

3. Tulsi तुलसी  ( Ocimum Sanctum )

4. Haldi हल्दी ( Termeric ) 10gm

5. Kaali Meeri काली मीर्च ( black Paper ) 10gm

6. Sonth सोंठ ( Dry Ginger powder )  10gm

7. Gud. गुड ( Jaggery ) 100gm

8. Paani पानी  ( Water ) 2 Litter



Dawayi ya kadha banane ke liye ye sab samagri ki hume jarurat padhegi.
Ye sab cheeze ya samagri hume kisi bhi ayurvedhic medical se ya Ayurvedhic store se bahot he asani se milenge....
Aage dekhte hain ye sab ayurvedhiv cheezon ke laabh hume kya hote hain.


1.Jeshtmadh  जेस्टमध  ( Mulethi ) Liquorice:-

                                   
Jeshtmadh  जेस्टमध  ( Mulethi ) Liquorice
         jeshtmadh me bahot saare goon hain . Jeshtmadh Respiratory Track me honewale infection se ladhta hai.. matlab humare swashan yantra me koi bhi infection ya sankraman hota hai . to usse ladhne ka kaam jeshtmadh karta hai. 
 
Dry cough  matlab sukhi khansi me bhi Jeshtmadh ka sewan karna bahot labh dayak hai. agar kisi ko sukhi khansi lagti hai to Jeshtmadh ke sewan se usse nizat pane me koshish hoti hai.
Jeshtmadh Antiviral bhi hai . matlab kisi bhi rog ke pradhurbhaw ko badhne se rokhta hai.
Jeshtmadh humari Immunity Increase karta hai matlab humari rog pratikatmak shakti badhata hai. 

2. Ashwagandha अश्वगंधा ( Withania Somnifera ) :-

 
Ashwagandha अश्वगंधा ( Withania Somnifera )

                                              Ayurvedh kaheta haike ashwgandha rog prathirodhak wala paudha hai.jisme bemariyon se ladhne ki takat hoti hai. 
Ashwagandha Anti -Bacterial bhi hai, Ashwagandha me maujud anti-bacterial guno kr karan ye rog failane wale bacteria ke khilaf ladhne me saksham hota hai. Ahwagandha Immunity Increase karta hai. matlab rog pratikatmak shakti badhata hai. Ashwagandga Blood sugar reduse karta hai.. Ashwagandha ke aur bhi bahot saare fayde hain.

3. Tulsi तुलसी  ( Ocimum Sanctum ):-

Tulsi तुलसी  ( Ocimum Sanctum )

                                    India me tulsi ko bahot bada maan hai.
Tulsi  Immunity Increase karti hai. matlab rog pratikatmak shakti badhati hai.
 Tulsi Anti -Bacterial bhi hai.. Viral Fever matlab sankraman wale bukhar me tulsi bahot faydemand hai. Tulsi ka upyog Cough & Cold matlab khansi aur Jukham door karne ke liye bhi kiya jata hai. Ayurvedh ye kaheta hai ke agar hum har roz tulsi ke 40 patte aur 1 chamach haldi khate hain to ise Cancer tak door hota hai.


4. Haldi हल्दी ( Termeric ):-

Haldi हल्दी ( Termeric )

                            haldi me bahot saare goon hote hain.
Bachapan me jab hume kabhi chonth lagti thi to Maa hume haldi wala dudh deti thi iski wajah ye hai ke haldi Pain Killer hai Aur Agar jakham hua hoto uspe bhi haldi lagayi jati hai matlab haldi Anti Septic bhi hai .  Haldi Anti-Bacterial bhi hai. matlab kisi bhi Bacteria se ladhne ki shamta haldi me maujud hai.


5. Kaali Meeri काली मीर्च ( black Paper ):-

Kaali Meeri काली मीर्च ( black Paper )

                            Kaali meeri isse kaali mirch bhi bolte hain
ye Immunity Increase karti hai. matlab rog pratikatmak shakti badhati hai.
 Kaali Mirch Anti -Bacterial bhi hai.. Viral Fever matlab sankraman wale bukhar me Kaali mirch bahot faydemand hai. Kaali mirch ka upyog Cough & Cold matlab khansi aur Jukham door karne ke liye bhi kiya jata hai.
Kaali Mirch Anti-Infection bhi hai. Matlab kisi bhi prakar ke sankraman se bachane ke liye Kaali Mirch Bahot faydemand hai.


6. Sonth सोंठ ( Dry Ginger powder ):-


 
Sonth सोंठ Dry Ginger powder

                                            Sonth matlab sukhe Huye adrak ka powder. iski jagah aap taza adrak bhi le sakhte ho.
Sonth Fever,Cough & Cold matlab bukhar,Khansi aur Jukham ko door karne me bahot faydemand hai. Support to Immunity System karta hai. Matlab humari immunity badhane me sonth bahot labh dayak hai. Ye ek Pain Killer ka bhi kaam karta hai. Sonth Urine Infection ko bhi door karta hai.


7. Gud. गुड ( Jaggery ):-


Gud. गुड ( Jaggery )

                       Gud ka upyogh humne dawayi ko mitha banane ke liye kiya hai. taake bacche isse aasani se pee sakhe.
lekin gud fayde bhi bahot saare hain.ye stomach Problem ko door karta hai. Agar kisi ko pet ka dard ho to uss samay Gud ka sewan karna bahot labhdayak hai. Increase H.B matlab humare shareer me agar khoon ki kami hai to har roz Gud ka sewan karne se humare shareer ke khoon ki matra bhi badhti hai.
gud Anti-Allergic bhi hai.. Agae kisi prakar ki allergy hai top gud ka sewan karne se wo allergy door hoti hai.



Aage Dekhtye hain. ye dawayi kaise banana hai



Tulsi Adrak aur Kaali mirch



 Sab se pahele Tulsi ke patte . adrak aur kaali mirch mixer ka use kar ke acchi tarha pees ke le.
Tulsi Adrak aur Kaali mirch ka Paste





2 Litter clean water



 iske baad Ek saaf suthra bartan leke usme 2 litter saaf pani le.


 iss paniwale bartan me humne peesa hua tulsi adrak aur kaali meri ka pest add karein Aur isse mediam flam matlam madhyam aanch pe ubalna shuru karein..


 Jaise humne tulsi wala pest usme dala waise he Jeshtmadh, Sonth, Ashwagandha aur Gud bhi usme daal de.....

Sonth
Jeshtmadh


Ashwagandha

Gud






 iske baad ye sab mishran ko kareeb 40 minut tak mediam flam matlab maddhyam aanch pe ubalein.


         Dheere dheere ye mishran ka rang badlta jayega...
iss mishran ko tab tak ubalein. 
jab tak aapne liya hua 2 litter pani. ubal ubal ke 1 litter na ban jaye






Apka mishran 2 litter se ghat ke 1 litter hojaye to samaj lijiye ke aapki dawayi ya kadha acchi tarha banke tayar hua hai.
Isse thodi der thanda hone ke liye rakh dein.








Apka kadha thanda hobe ke baad acchi tarha chan ke lein.










kadhe Ko chaan ke lene ke baad 
usse ek bottle me jama kar ke lein taki jab bhi humara mann chahe hum leke pee sakhein.
ye kadha jaldi kharab nahi hota isliy aap jyada kadha banake store kar ke rakh sakhte ho....




ye tha dawayi banane ka bahot he aasaan tarikha..  25 se 30 Rs me ye aap ghar baite bana sakhte hain.
Corona Virus le lakshan Dekha jaye to uske sankraman se bachne ke liye ye dawayi bahot kargar ho sakhti hai.
Ye dawayi  Humans ke sath sath Animals k liye bhi utni he labh dayak hai. matlab ye dawayi insano ke sath sath humare pashu praniyo ki immunity badhane, ya kisi bhi sankraman ko rokhne bahot he faydemand hai.

Ab dekhte hain iska sewan kitne praman me lena chahiye



Agar aap ye dawayi apne baccho ko derahe hain to 50- 100ml din me 2 se 3 baar de sakhte hain..
 

Agar aap ye dawayi apne Animals me derahe hain to 1ml / 1kg body weight pe de sakhte hain.. 
For example Agar apka janwar 10 kg ka hai to aap usse 10ml dawayi din me 2 se 3 baar pila sakhte hain.





Ye Dawayi Humans ke sath sath Animals me bhi bahot faydemand hai.
Matlab Insano ke sath sath ye pashu me bhi unki Immunity increase karne, Unki rog prathirodhak shakti badhane bahot he faydemand hai.



Dawayi banane ka Video dekhne ke liye iss play button pe play karein..   Humare iss youtube channel ko bhi like karein share karein aur subsribe karein




Aur bhi bahot saare precuations hain Jinka Istemal kar ke Hum iss Corona Virus ke sankraman ko rokh sakhte hain. aur India ko isse jeeta bhi sakhte hain.

1. Agar aao kisi aise share se nikal rahe hain jahan Corona Virus ka sankraman bahot hai. uss shaher se apne gaanv ke taraf aate waqt Apni jaanch kara ke he aage badhe aur apni family se apne dosto se mile.

2. Agar hum apne shareer me aise symptoms dikhayi dete hain jo Corona Virus se milte julte hain to pahele apne gaanw ke sarkari hospital me iski jaanch karayein.

3. Bina wajah ghar se bahar na nikle, kisi bhi weqti se baat karte waqt kam se kam 1 meter ki doori ka ehtiyat rakhein.

4. Iss Corona Virus se bachne ka sab se aasaan tarika hai lockdown . matlab 4 se jyada log ek jagah pe na rukhna,  Bheed wali jagah. jaise mall, Bazar puri tarha band karna.

Lockdown humare liye bahot he jyada zaruri hai.. isliye iska palan hume karna chahiye. lekin lockdown ka sab se jyada asar unpar horaha hai. jinka ghar ka chullah tab he jalta hai jab kuch majduri ya kaam kar ke paise aate hain. 
lockdown ke wajah se bahot saare karobhar band huye hain. isliye inn logo ko majduri nahi mil pati aur na he rashan pani mil hai.
aap apne aas paas khayal rakhen.. iska dhayn de ke iss lockdown me koi bhuka na rahe. Aisa koi kareeb dikhta hai to uski thodi si madat karein

Humare Shaher ke kuch groups kuch Volontiers, Lockdown ka koi bhi rules break na karte huye. Zarurat mand logo ki help kaise kin iska video dekhne ke liye. play button pe click karein.
 



 Apna aur Apne Pariwar ka khayal rakhein
Ghar pe rahe Safe rahein............








No comments:

Post a Comment

Please do not enter any spam link in the Comment box.

शेळ्यांतील माजाची लक्षणे     माजावर आलेली शेळी बेचैन असते.     भूक मंदावते.     शेपूट सारखे हलविते.     वारंवार लघवी करते.     इतर शेळ्यांव...