Hyderabadi, Kota, Patira, Totapari,
Indian Non Registerd Goat Breed.
इंडिया के नॉन रजिस्टरड गोट ब्रीड
Hello doston
pichle post me aapne India ke Registerd goat breeds ke bareme padha. iss post me aap india ke non registerd goats ke bamere padhnewale hain,
non ragisterd matlab ye breed pure nahi hai.. kisi 2 nasal ke bakri ke crossing se bani huyi hai.. isse cross breed bhi bol sakhte hain.
lekin ye non registered breeds ke goon, khubsurathi visheshtha itni acche hain ke pure india me iski demand badhi huyi hai, aur bahot acche daam me iski salling horahi hai..
aage dehte hain ye non registerd breed kunsi kounsi hai. aur unki kya kya visheshta hain,
Doston aisi he acchi jankari apko humare youtube channel AgroTadka pe bhi milti rahegi .
Apke right side pe dikh rahe red button ko press kar ke humara YouTube channel bhi join karein
ya fir ispe click kar ke humare channel me jake suscribe button pe click karein ---->AgroTadka ya YouTube
Apke right side pe dikh rahe red button ko press kar ke humara YouTube channel bhi join karein
ya fir ispe click kar ke humare channel me jake suscribe button pe click karein ---->AgroTadka ya YouTube
Hyderabadi हैदराबादी :-
- Hyderabadi bakri jo dikhne me bahot he khubsurat hoti hai,
- ye bakri panjabi Beetal aur Jamunapari ye 2 breed mila ke bani huyi hai.
- iska shareer beetal aur jamunapari jaisa bada hota hai,
- inki naak kaafi ubhari huyi raheti hai,
- iske singh chote choudhe hote hain., iske kaan 10-12 inch lamba choudha latkta raheta hai
- Hyderabadi bakri me dudh utpadan karneka goon kaafi accha hota hai. issi ke sath maans ka utpadan Hyderabadi accha karti hai.
- iss bakri ka aakaar jyada badha hota hai. aur shareer pr chamkdar baal hote hain.
- vayaska nar (Male) ka wajan(Weight) 70-90 Kilo gram maada (Female) ka wajan ( Weight ) 50-60 kilo gram hota hai
- Gabhan kaal ( Pregnancy) 150 Din ka hota hai
( Weight ) kareeb 2.5 - 3.0 kg tak raheta hai.
- 2 se 3 litter tak dudh( Milk) prathi din deti hain.
- Hyderabad aur Aas paas ke shaher me jyada paayi jaati hai lekin iss nasal ko wahan jamunapari ke naam se he jaana jata hai.
- ye bakri 2 se 3 baccho ko janm deti hai
- iska upyog dudh aur maans dono ke liye kiya jata hai.
YE 2 POST BHI ZARUR PADHEIN,
POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN..
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Sojat सोजात :-
- ye nasal sojat, pipar aur jodhpur ke shetro aur Rajasthan ke chote shetro me paayi jaati hai.
- ye jyadatar safed ran me paayi jati hai.inke bahot Lambe kaan hote hain
- ,Choti aur patli punch hoti hai.aur shanku aakaar ke nippal hote hain.
- vayaskh nar ka wajan 50-60 kg aur madha bakri ka wajan 40-50 kg hota hai.
- iske
Bakre safed rubabdar hote hain..
- inke shareer pe safed chamkile baal hote hain
- isse bechne wali vyapari isse 3 category me divide kar ke bechte hain.
- ek jo pure quality farming ke liye.. ye dikhne me bilkul safed hote hain. pink skin hoti hai. inki growth bhi acchi hoti hai
- dusri category safed rang pe kaale ya bhure dhabbe hote hain ye bhi farming keupyog ke liye aate hain.
- tisari category ke sojat cutting ke liye becha jaata hai.jyadatar kasayi he isse kharidte hain.
- ye 14 mahine me 2 baar bacche dete hain
- ye bakri 1 se 2 bacche deti hai
- ye shareer se mediam aakaar me hoti hai
- iski female 30 se 45 kg ke hoti hai
iska male 60 se 70 kg tak wajan ek saal mehe kar leta hai
- jyadatar Rajasthan ke log isse Eid ke liye tayar karte hain.. Bakri eid me kurbani me iss nasal ko bahot pasand kiya jata hai.
POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN..
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Patira पतिरा :-
- Patira nasal Bahot khubsurat hoti hai
- Sojat aur Jamunapri nasal mil ke shayad ye patira nasal bani huyi hai
- patira nasal gujrat ke ahemdabad jaise shahero me ye paayi jaati hai
- patira puri tarha safed hoti hai
- patira gulabi chamdi ki hoti hai
- jyadatar patira ke singh nahi hote, agar honge to marble rang jaise hote hain
- patira ke pair ke khoor bhi marble rang me hote hain. ye unki purity ki pahechan hai.
- inka punch face hota hai
- naak roman hoti hai
- inke gardan pe zhalar hoti hai,
- inke shareer pe safed chamkile baal hote hain
- ye 14 mahine me 2 baar bacche dete hain
- ye bakri 1 se 2 bacche deti hai
- ye shareer se mediam aakaar me hoti hai
- iski female 35 se 45 kg ke hoti hai
- iska male 70 se 80 kg tak wajan ek saal mehe kar leta hai
- ye bahot jyada khubsurat hoti hai isliye bahot se goat farmers apne bakri ke crossing ke liye matlab breeding ke liye bhi isse istemal karte hain
- iski growth acchi hoti hai isliye Bakra Eid ke kurbani ke liye bhi isse bahot pasand kiya jata hai.
YE 2 POST BHI ZARUR PADHEIN,POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN..
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Kota कोटा :-
- Kota ek Rajasthan ke kota gaanw se hain isliye isliye isse kota naam diya gaya hai
- lekin kota nasal karoli gaanw me paida huyi hai. isliye usse karoli kota bhi bolte hain
- Kota nasal rajasthan ke kota ke jungalo me jyadatar paayi jyati hai.
- Maharashtra aur Gujarat ke farming me isse bahot shouk se pala jata hai
- agar Aakar ki baat kiya jaye to beetal aur jamunapari jaise nasal ko takkar denewali ye nasal hai.
- Karoli kota jo kota ki nasal hai wo puri tarha kaali hoti hai aur unke kaan aur pair pe bhure rang ke line hote hain ye kota ki pure nasal hai.
- iske kaan bahot lambe andar ki taraf mude huye hote hain.
- inke singh upar ke taraf ghume huye hote hain
- inle gardan pe zhalar bahot badi hoti hai.
- kota se sojat jamunapari aise nasal cross hoke kota safed rang ke bane huye hain jo aur bhi khusurat dikhte hain
- kota female ki maturity age matlab prajanan layak hone ki umar 18 se 20 mahine hai. uske baad he heat pe aati hai.
- 14 se 15 mahine 2 baar bacche deti hai..
- ye nasal 1.5 se 2 litter dudh har din deti hai
- 12 mahine ke umar me iss nasal ka nar 60 se 70 kg tak ka hojata hai
- Bharayi ke kaam me matlab force feeding me kota bahot he accha result diya hua hai.
- Kota ki nasel bahot aggresive hoti hai,matlab inhe gussa bahot aata hai isliye inko bahot pasand kiya jaraha hai.
- mumbai ke deonar ke market me kota 1 lakh se leke 5 lakh tak ke kimat me kota bike huye hain.
- 2019 ke eid me Raheas jo kota ka bakra tha uska daam 5 lakh rs laga hua tha. jo bikh bhi gaya
- Bandisth goat farming ke liye ye bahot acchi hai
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Totapari तोतापरी ( Mewathi ) :-
- Totapuri Nasal ko mewathi bhi bolte hain.
- iska muh tote ke chonch ke tarha ubhra hua hota hai. isliye isse totapari bolte hain
- totapari ke kaan bahot he lambe hote hain.
- ye alag alag rango me payi jaati hai, kuch bakriyon ka rang gardan tak shirohi jaisa bhura aur pichla hissa bhira hota hai.. kaan par safed ya kale rang ke dhabbe hote hain.
- inme kuch bakriyon ka rang puri tarha bhura bhi hota hai.
- ye nasal jamunapari aur shirohi aur mewath ke local nasal se mil ke bani huyi hai.
- lekin iska aakaar jamunapari ke tarha bada nahi hota. ye shirohi jaise madhyam aakaar ki hoti hai.
- iske bacche bahot he khubsurat hote hain. isliye isse kimat bhi bahot acchi milti hai
- ye nasal mewath me. mathura me aur Jaipur aur aagra road pe lagnewali balaheri mandi me bahot jyada paayi jaatti hai
- jyada tar shoukin iske khubsurati ke taraf aakarshit hoke inhe muh maangi kimat dete hain
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.
Gujri गुजरी :-
- Gujri nasal Rajasthan ke jodhpur, jaipur jaise shahero me jyadatar paayi jaati hai,
- Gujari nasal sojat aur shirohi ye do nasal se bani huyi hai
- iska chahera sojat ke tarha safed hota hai aur gardan se leke piche ka hissa shirohi jaise bhure ya kaale rang ka hota hai
- iske badan pe bhure ya kaale rang ke dhabbe hote hain,
- isliye ye nasal khubsurat dikhti hai.
- ye nasal ko palna bahot he aasaan hai. jaipur aur jodhpur jaise shahero me kahi log isse apne ghar ke chat pe palte hain.
- ye nasal ke bakre badi aasani se ek saal me 60 se 80 kg tak ke hojate hain.
- Bakra eid ke kurbani ke waqt mumbai ke deonar jaise mandi me ye nasal bahot jyada qauntity me bechi jaati hai
POST PADHNE KE LIYE NICHE DIYE GAYE LINK PE CLICK KAREIN..
BEETAL, JAMUNAPARI, BARBARI,SHIROHI, OSMANBADI. INDIA KI UPYOGI REGISTERED GOAT BREED
African Boer, Damascus, Saanen . Videshi Bakri ki naslein.