Covid-19 Corona Virus kya hai? Corona Virus se kaise bacchein? कोरोना वायरस से बचने का देसी इलाज
Covid-19 Corona Virus kya hai? Corona Virus se kaise bacchein? कोरोना वायरस से बचने का देसी इलाज
Haan doston Apne sahi padha kuch aasaan tarike istemal kar ke hum Corona Virus ke sankraman se bach sakhte hain.
Aaj Corona Virus 200 se jyada desho me fahela hua hai...
aur India me 7000 se jyada Corona se jude cases samne aaye hain.
Covid-19 se bachne ke liye indian Goverment Lockdown jaise sahi kadam utha rahi hai..
India me Corona Virus ka prabhaw second stage pe chal raha hai..
Agar hum issi yahi pe rokhne me kamyab na rahe to ye 3rd stage me chala jayega.. fir iss rokhna namumkin hai.. kyu ki india ki lokh sankhya population dusre desho ke mukable bahot jyada hai. aur humare paas itni medical facilities nai hai jisse hum corona virus covid-19 ka samna kar sakhe. Italy jaisa desh jo medical facilities me top pe tha aaj uss desh ne iss bemari ke samne apne ghutne teke huye hain.. aaj tak aisa koi anti dose ya vaccine nai bana jo iss bemari se bacha sakhe..
lekin Hum kuch sathrkta leke sawdhan hoke iss bemari ko fahelne se rokh sakhte hain.
lekin aage badhne se pahele ye dekhte hain ke Corona Virus kya hai aur iske symptoms kya hain.....
Corona Virus kya hai?
Corona Virus sab se pahele china ke Huang city me paya gaya. ye saanp aur chamdagad se aaya hua virus se.
Corona Virus me flue cold jaise he lakshan dikhte hain. lekin iske bachao me ab tak koi bhi vaccine nahi banaya gaya hai.
Corona virus ka sabse jyada asar unpe horaha hai jinki immunity kam ho.. aur bacchon me aur buzurgo me immunity kam hiti isliye corona ka sab se jyada shikar bacche aur buzurg horahe hain.
Corona Virus Bahot sukshma virus hai. lekin iska prabhaw bahot bada hai.
corona ke khatre ko dekhte huye log bahot satarkta le rahe hain.
corona ke khatre ko dekhte huye log bahot satarkta le rahe hain.
1. corona virus se sankramith weqti ke paas jane se ye bemari lagti hai?
Ji haan agar kisi weqti ko corona virus ka sankraman hua hai. agar aap uske kareeb jate hain aur wo khansta ya chinkta hai.. uske muh se nikle huye chinte ya bund apke kapdo pe ya shareer pe padh jate hain.. aur issi halat me apke hath apne chahere pe laga dete hain to corona virus apke naak ,Muh ,Aankh ke zariye apke shareer me ja sakhta hai.
2. khasne ya chinkne se kya hota hai?
Corona virus ka sankraman jiss weqti ko hua hai usse khansi jukham jaise lakshan dikhayi dete hain. Agar aap uss weqti ke itne kareeb hain ke agar wo khans raha hai ya chinkh raha hai hai.. uske chinkte aur khanste waqt kuch chinte ya bunde apne shareer pe padh jate hain to inse apne shareer me bhi corona ka sankraman hojata hai.
3. kya Corona se prabhavit weqti ki pahechan ho sakhti hai?
Shurwati dour me corona ke symptoms normal jukham khansi bukhar jaise hote hain. isliye bina laboratory test ke corona ka sankraman hua hai ya nahi ye batana bahot mushkil hai
4. Kya Corona Virus ka sankraman kisi Dhatu ke wastu se ho sakhta hai?
Ji haan. Agar Corona Virus se sankramith hua weqthi kisi bus se safar karta hai. ya kisi bhi wasthu ya cheez ko chuta hai.. ya uss wastu ya dhatu pe uske chinkh ya khansi ke bundh padhte hain to wah virus us dhatu par ya kisi cheez pe 14 ghante tak jeevith rahe sakhta hai. is 14 ghanto me jitne bhi log iske samparkh me aajate hain unpar bhi ye virus sankraman kar jata hai.
Symptoms of Corona Virus
(Corona Virus ke lakshan kya hain)
Corona Virus ka sab se jyada prabhaw insan ke Respiratory track pe matlab apne swashan yantra pe hota hai.. jaise lungs bronchitis pe hota hai.
Corona virus se prabhavit ya sankraman hone ke baad 5 se 14 dino tak normal jukham ya khansi jaise lakhshan dikhayi dete hain. isliye bina laboratory ki jaanch karaye ye batana mushkil hota hai ke corona sankramith hai ya nahi.
Lekin thode dino ke baad iska asar itna badh jata hai ke insan ko saans lene me taklif hoti hai.lungs kaam karna band kar dete hain.. aur issi me weqti ki death hp sakhti hai.
Aage dekhte hain corona ke shurwati dour ke symtoms kya hain
1. Gale me dard hona ( gale ka infection) :-
Carona se sankramith huye weqti ko shurwati dour me gale ka dard hota hai.
kuch scientist ka ye kahena hai ke Corona Virus ka sankraman hone ke baad ye virus kuch dino tak humare gale me rahe jata hai.. isse gale me dard hone jaise lakshan dikhayi dete hain.
2. Sukhi Khansi Aur Jukham ( Dry Cough & Cold ) :-
Corona Virus ka shikar huye weqti ko sukhi khansi matlab (dry cough) aur jukham (cold) jaise lakshan dikhayi dete hain..
Shurwati dino me ye normal khansi aur jukham jaise he lagte hain. lekin aage chal ke inka prabhaw itna padhta hai ke weqti thik se baat tak nahi kar pata, jyada khansi se lungs kaam karna band kar dete hain
3. Bahot tez Bukhar aur sarr dard :-
( High Temperature )
Corona Virus ka sankraman huye weqti ko bahot tez bukhar raheta hai Aur sarr ka dard bhi raheta hai.
Corona Virus (Covid-19) ke sankraman hone se kaise bachein?
Apni sawdhani se, apni satharkta se hum corona virus ke sankraman hone se bach sakhte hain.
sankraman na badhe isliye indian Goverment Lockdown jaise kade faisle le rahi hai jo bahot zaruri bhi hai. isse sankramith hua weqti aur aam janta ke bich ek diwar ban rahi hai jisse Corona ke sankraman pe rokh lag rahi hai.
isme Police prashasan, Doctors aur nurse ki team ka bhi bahot badha saheyog hai... Inka kaam waqiye me kabeel e tareef hai.
Humara bhi farz banta hai ke hum apni sahayta khud kar ke, Apna precuations khud kar ke Corona virus ke sankraman ko khud ko bacha sakhte hain..
isse bachne ke liye khud ka khayal kaise rakhna hai.. kya kya precuations lene hain ye step by step dekhenge..
Precuations ke 2 tarike hain
1. External precuation.
2. Internal precuation.
External precuations matlab apne shareer ke bahri hisso ko safe rakh ke apne shareer pe corona virus ka sankraman hone se rokhna.
A.sanitizer ka istemal karna:-
Corona Virus kisi bhi wastu ya kapde pe 14 ghanto tak jeevit rahe sakhta hai..
agar corona sankramith weqti kisi cheez ko chuwah hua hai ya uske khansi ke ya chinkh ke chinte ya bund agar kisi samanya cheez pe padhe huye hain, jaise bus ka darwaza, handel, lift ke button, kisi mall ke koi wastu. ye kahin bhi ho sakhta hai..
Agar hum kisi kaam se bahar jate hain aur aise kisi cheez ko chuhte hain ya touch karte hain to hume bhi Corona Virus ka sankraman ho sakhta hai. lekin sanitizer ka istemal kar ke hum sankramith hone se bach sakhte hain.
sanitizer humare hath pe lage koi bhi jantu ya bacteria ko marne me humari help karta hai . Isliye sanitizer ka use karna humare liye bahot he labh dayak hai.
B. Mask ka istemal karna :-
Apne chahere pe matlab naak aur muh ko mask se ya kisi kapde se dhak ke bhi hum corona virus ke sankraman hone se rokh sakhte hain.
kuch scientist ka kahena hai ke corona virus muh, naak, aur aankh ke zariye he humare shareer me pravesh karta hai.... agar hum mask ka istemal karte hain to ye virus humare aur naak ke zariye humare shareer me pravesh nahi karega.
C. Lockdown ko samarthan:-
Lockdown matlab khud ko ghar se bahar nahi nikalna. be matlab ke ghar se bahar nahi niklna. bade market, bheed wali jagah puri tarha band karna.
China me aaj Corona virus se hua marne ka dar 0 hai. iska bada karan hai lockdown. unke desh me 3 mahine tak kadha lockdown chala. iss wajah se china me sankraman ko rokh huyi..
India me bhi Lockdown chal raha hai. iska samarthan karna humare liye bahot zaruri hai...
Italy jaisa desh jo medical facilities me sab se aage tha.. wo corona ke prabhaw ko dakhal andaz kiye.. iska natiza ye hua ke har 24 ghante me 800 se 1000 log marr rahe hain... itna bada desh jo medical facilities me sab se aage tha . wo desh aaj Corona Virus ke samne apne ghutne tek chuka hai, khud ko surrender kar chuka hai.
agar hum humare desh me lockdown ko follow nahi kareng to humara haal bhi ye ho sakhta hai.isliye Lockdown ka kadha palan karein. bina wajah bahar na nikle..
Internal precuations:-
Internal precuations matlab humare shareer ko he aisa banana jisse wo corona virus se ladh sakhe.
Corona Virus jiski immunity matlab Rog pratikatmak shakti kam ho unpe he sab se jyada asar karta hai..
Corona Virus ka effect humare Respiratoryn track matlab humare swashan yantra pe sab se jyada prabhaw dalte hain.
![]() |
| Respiratory Track |
A.Garam pani, chai-coffee jaise garam cheezon ka sewan karen:-
Bahot saare scientists ka ye kahena hai ke Corona Virus ka sankraman hone ke baad wo kuch waqt ke liye apne gale me raheta hai. Agar hum jyada se jyada Garam pani, chai ya coffee ya veg soup, jaisi garam cheezo ka sewan karne se Corona Virus agar humare gale me sankraman kiya hua hai.. wo aage respiratory track me na badhte huye gale mehe khatm ho jata hai ya respiratory track me na jate huye sidhe digestive tack me digestic acids usse khatm kar dete hain.
B. Khane ko acchi tarha pakayein:-
Kahi logo ki soch hai ke khane ko jyada pakane pe usme se poshtik tatwa nikal jate hain. lekin aisa bilkul bhi nahi hai. agar khane ko ya kisi sabzi ko thik se nahi pakaya jaye to usme chipe kahi tarha ke bacteria puri taraha nirjantuk nahi hote.. iske karan se hume gambhir traha ke bemariyon ka samna karna padh sakhta hai.
C. Lahesun,Adrak, nariyal ke tel ka istemal karen:-
.Lahesun :-
Lahesun sab se jyada shaktishali anti viral food hai, lahesun ke sewan se rog prathi-rodhak shamta badhti hai.
. Adrak:-
Lahesun ki traha Adrak me bhi rog pratikatmak shamta badhti hai. iska sewan hum shahed ke sath kar sakhte hain.
. Nariyal ka tel :-
lahesun aur Adrak ki traha nariyal tel bhi Rog-prathirodhak hai. Nariyal tel me Lauric Acid Caprylic Acid hota hai jo anti viral hota hai aur humari immunity bhi badhata hai.
Corona Virus Covid-19 ke sankraman se bachne ke liye sab se aasan aur sasta Desi Ilaj.











